Wednesday 9 November 2011

Aata hai yaad mujhko wo guzra hua zamana

Aata hai yaad mujhko wo guzra hua zamana
Wo baagh ki baharein wo sab ka chehchahana

Azaadian kahan wo ab apnay ghonslay ki
Apni khushi se aana,apni khushi se jana

Lagti hay chot Dil per,aata hay yaad jis dam
Shabnam k aansuon per kallion ka muskurana

Wo pyarai pyari surat,wo kaamni si moorat
Abaad jis k dam se tha mera aashiana

Aati nahi sadaein us ki meray qafas main
Hoti meri rihai kaash meray bas main!

Kia badnaseeb hoon main ghar ko taras raha hoon
Saathi to hay watan main ,main qaid main para hoon

Aai bahaar,kallian phoolon ki hans rahi hain
Main iss andheray ghar main kismat ko ro raha hoon

Iss qaid ka ilaahi! dukhra kisay sunaon
Dar hay yahin qafas main main gham se na mar jaon

Jab se chaman chuta hay,ye haal ho gaya hay
Dil gham ko kha raha hay,DIL gham ko kha raha hay

Gana isay samajh ker khush hon na sunnay walay
Dukhtay huay DIL ki faryad pe sada hay

Azaad mujh ko ker day, O qaid kernay walay
Main bay zuban hoon qaidi,tu chor ker dua lay.

9 comments:

Is this poem from Pakistan. Can someone please let us know poet's name.

Allama lqbal sb. Pakistan k kaha se ho gye bhai sb?

Apki galat faimi dur krne k leye mai lqbal sb ki ek poem ka ek line sunata hu, jisse apko pta chalega k lqbal sb Hindustan k the,,,
POEM:Saare jaha se achha hindustaan hamara, Hm bulbulein hain iski, Ye gul sitaan hamara

No. The was the first to give the idea of Pakistan. And the line you wrote was about the hindustan which belonged to MUSLIMS.

अल्लामा इक़बाल का ये मसहूर ओ मारूफ नज़्म मैं ने तीसरी जमात में पढ़ा था और ये नज़्म मुझे ज़ुबानी अभी तक याद है।
👍👌

अल्लामा इक़बाल का ये नज़्म मुझे आज भी ज़ुबानी यद् है।ये बहुत ही अच्छी नज़्म है।मुझे बहुत पसंद है।

Post a Comment

Online jobs

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Find us on Facebook

Total Pageviews

Our worldwide fans

Free counters!

Online Working - Jobs

free web site traffic and promotion Free SEO Tools
Submit ExpressSearch Engine Placement

Popular Posts